Ab woh karam karen ke sitam

Ab woh karam karen ke sitam main nashe men hoon
Mujhko na koi hosh na Gham main nashe mein houn
Seene se bojh unke ghamon kaa utaar ke
Aayaa hun aaj apni javaani ko haar ke
Kahate hain Dagmagate qadam main nashe main hun
Wo bewafa  hain ab bhi  ye dil manta  nahin
Kambakht naa-samajh hai unhein janta  nahin
Main aaj tor dunga bharam, main nashe men hun
Fursat nahin hai rone rulane ke vaste
Aaye na unki yaad satane ke vaaste
Is waqt dil ka dard hai kam, main nashe men hun

Comments