Yeh kis ka lahu hai kaun mara


Dharatee kee sulagatee chhatee ke bechain sharare puchh te hain
Yeh kis ka lahu hai kaun mara ai rahabar mulko kaum bata
Yeh jalate huye ghar kis ke hai, yeh katate huye tan kis ke hain
Taksim ke andhe tufan me, lutate huye gulshan kis ke hain
Bad bakt ki jaye kiski hain, barabad nasheman kiske hain
Kuchh ham bhee sune hamako bhee suna
Ai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun mara
Kis kam ke hain yeh din dharam, jo sharm ka daman chaak kare
Kis tarah ke hain yeh desh bhagat, jo baste gharo ko khak kare
Yeh ruhe kaisee ruhe hain, jo dharatee ko napak kare
Aankhen toh utha najre toh mila
Ai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun mara
Jis ram ke nam pe khoon bahe, us ram kee ijjat kya hogee
Jis din ke hatho laj lute, us din kee keemat kya hogee
Insan kee iss zillat se pare, shaitan kee zillat kya hogee
Yeh ved hata kuran utha
Ai rahbar mulko kaum bata, yeh kiska lahu hai kaun mara

Comments