Yeh mehlon yeh takhton yeh taajon ki duniya


Yeh mehlon, yeh takhton, yeh taajon ki duniya,
 yeh insaan ke dushman samaajon ki duniya,
 har ek jism ghayal, har ek rooh pyaasi,
 nigahon mein uljhan, dilon mein udaasi,
 yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi,
 yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai
yahaan ek khilona hai insaan ki hasti,
 yeh basti hai murda paraston ki basti,
 yahaan par to jeevan se hai maot sasti,
 yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai.
 jawaani bhatakti hai badakaar ban kar,
 jawaan jism sajtey hain bazaar ban kar,
 yahaan pyaar hota hai byopar ban kar,
 yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai.
 yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai,
 wafa kuch nahi, dosti kuch nahi hai,
Yahaan pyaar ki qadr hi kuch nahi hai,
 jala do isey, phoonk dalo yeh duniya.
 mere saamne se hata lo yeh duniya,
 tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya,
 yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai.
 yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai.

Comments