aaj

aaj



Sathiyo maine barson tumhare liye Chaand, taaron, bahaaron ke sapne bune
Husn aur ishq ke geet gata raha Aarzuon ke aivaan sajata raha
Main tumhara mughanni, tumhare liye Jab bhi aya naye geet lata raha

Aaj lekin mire damane chaak mein Garde rahe safar ke siva kuchh nahin
Mere barbat ke seene mein naghmon ka dam ghut gayaa hai
Tanen cheekhon ke anbaar mein dab gayi hain Aur geeton ke sur hichkiyaan ban gaye hain
Main tumhaara mughanni huun, naghma nahin houn
Aur naghme ki takhleeq ka saazo-samaan
Sathiyo! Aaj tumne bhasm kar diya hai
Aur main — apna toota hua saaz thame
Sard lashon ke anbaar ko tak raha houn
Mere charon taraf maut ki vahshatein nachti hain
Aur insaan ki haivaniyat jaag uthi hai

Barbriyat ke khunkh(w)aar afreet
Apne napaak jabron ko khole
Khoon pee pee ke Ghurra rahe hain
Bachche maaon ki goton mein sahme hue hain
Ismatein sar-barhana pareshan hain
Har taraf shor-e-aaho-buka hai
Aur main is tabahi ke tuufaan mein
Aag aur Khoon ke haijan mein
Sarnigoun aur shikasta makanon ke malbe se pur raaston par
Apne naghmon ki jholi pasare
Dar-ba-dar phir raha houn –
Mujhko amn aur tahzeeb ki bheek do
Mere geeton ki lay, mere sur, meri nai
Mere majrooh hoton ko phir saunp do

Sathiyo! Main barson tumhare liye
Inqilab aur bghawat ke naghme alape
Ajnabi raaj ke zulm ki chaanv mein
Sarfaroshi ke Khwaabeeda jazbe ubhaare
Is subah ki raah dekhi
Jismein is mulk ki ruuh aazaad ho
Aaj zanjeer-e-mahkoomiyat kat chuki hai
Aur is mulk ke bahro-bar, baamo-dar
Ajnabi qaum ke zulmat-afshaan farere ki manhoos chaanv se aazaad hain
Khet sona ugalne ko bechain hain
Vaadiyaan lahlahaane ko betaab hain
Kohsaaron ke seene mein haijaan hain
Sang aur Khisht bekhwaab-o-bedaar hain
Inki aankhon mein ta’ameer ke Khwaab hain
Inke khwaabon ko takmeel ka roop do
Mulk ki vaadiyaan, ghaatiyaan, khetiyaan, auratein, bachchiyaan –
Haath phailaaye Khairaat ki muntazir hain
Inko amn aur tahzeeb ki bheek do
Maaon ko unke honton ki shaadaabiyaan
Nanhe bachchon ko unko Khushi bakhsh do
Mere sur bakhsh do, meri nai bakhsh do
Aaj saari fazaa bhikaari hai
Aur main is bhikaari fazaa mein
Apne naghmon ki jholi pasaare
Dar-ba-dar phir rahaa houn
Mujhko phir mera khoyaa huaa saaz do
Main tumhaaraa mughanni tumhaare liye
Jab bhi aaya, naye geet laataa rahoungaa

Comments