Ab woh karam karen ke sitam

Ab woh karam karen ke sitam



Ab woh karam karen ke sitam main nashe men hoon
Mujh ko na koi hosh na Gham main nashe men hoon
Seene se bojh unke ghamon kaa utaar ke
Aayaa hoon aaj apni javaani ko haar ke
Kahate hain Dagamagate qadam main nashe main hoon
Wo bewafa hain ab bhi ye dil maanta nahin
Kambakht naa samajh hai unhein jaanta nahin
Main aaj tor doonga bharam main nashe main hoon
Fursat nahin hai rone rulane ke vaaste
Aaye na unki yaad satane ke vaste
Is waqt dil ka dard hai kam main nashe main hoon

Comments