aqaid waham hain

aqaid waham hain



Aqaaid waham hain mazhab Khayaale Khaam hai saqi
Azal se zehne insaan bastae auhaam hai saqi
Haqeeqat aashnai asl mein gumkardah raahi hai
Aroose aagahi parvardahe ibhaam hai saqi
Mubarak ho zaeefi ko Khirad ki falsafadani
Javabi beniyaaze ibrate anjam hai saqi
Havas hogi aseere Halqae nek o bade aalam
Muhabbat mavarae fikre nang o naam hai saqi
Abhi tak raaste ke pech-o-Kham se dil dharakta hai
Mira zauqe talab shayad abhi tak Khaam hai saqi
Vahan bheja gaya houn chaak karne pardae shab ko
Jahan har subah ke daman pe akse sham hai saqi
Mire saghar mein mai hai aur tire hathon mein barbat hai
Vatan ki sarzameen mein bhook se kohram hai saqi
Zamana barsare paikar hai purhol sholon se
Tire lab par abhi tak naghmae Khayyam hai saqi

Comments