chakley

chakley



Ye kooche ye neelaam ghar dilkashi ke
ye lute hue kaarawan zindagi ke
Kahan hain kahan hain muhafiz khudi ke?
Sanakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Ye purpech galiyan ye bekhwab bazaar
ye gumnaam rahi ye sikkon ki jhankaar
Ye azmat ke saude ye saudon pe takraar
Sanakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Taffun se purneemroshan ye galiyan
ye maslee hui adhkhilee zard kalian
Ye bikti hui khokli rangraliyaan
Sanakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Wo ujle dareechon mein payal ki chhanchhan
tanaffus ki uljhan pe table ki dhandhan
Ye beruh kamron mein khasi ki dhandhan
Sanakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Ye gunje hue qahqahe raston par
ye charon taraf bheer si khirkiyon par
Ye aawazen khinchate hue aanchalon par
Sanaakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Ye phoolon ke gajre ye peekon ke chheente
ye bebaak nazren ye gustaakh fiqare
Ye dhalake badan aur ye madqooq chehare
Sanaakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Ye bhuki nigaahen haseenon ki jaanib
ye barate hue haath seenon ki jaanib
Lapakate hue paanv zeenon ki jaanib
Sanaakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Yahaan peer bhi aa chuke hain jawaan bhi
tanumand bete bhi abbaa miyaan bhi
Ye biwi bhi hai aur behan bhi hai maan bhi
Sanaakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Madad chaahti hai ye hawwaa ki beti
yashodaa ki hamjins raadhaa ki beti
Payambar ki ummat zulaikhaa ki beti
Sanaakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Zaraa mulk ke raahbaron ko bulaao
ye kuche ye galiyaan ye manzar dikhaao
Sanaa-khwaan-e-taqdees-e-mashriq ko laao
Sanaakhwaane taqdeese mashriq kahan hain?

Comments