Dekhaa to tha yun hi kisi ghaflatsi aar ne

Dekhaa to tha yun hi kisi ghaflatsi aar ne


Dekhaa to tha yun hi kisi ghaflatsi aar ne
deevanaa kar diyaa dile beikhtiyaar ne

Aie aarzoo ke dhundle khwabon! Javaab do
phir kis ki yaad aayi thi mujhko pukaar ne?

Tumko khabar nahin, magar ik saadahlauh ko
barbaad kar diyaa tire do din ke pyaar ne

Main aur tum se tarke muhabbat ki aarzoo
deevaanaa kar diyaa hai ghame rozgaar ne

Ab aie dil-e-tabaah tiraa kyaa khayaal hai
ham to chale the kaakule geti sanvaarne!

Comments