Ek tasveer-e-rang

Ek tasveer-e-rang



Main ne jis waqt tujhe pahlepahal dekha tha
tu jawaani ka koi khwaab nazar aayi thi
husn ka naghmae jaaved hui thi maaloom
ishq ka jazbaae betaab nazar aayi thi

Aie tarbazaare jawaani ki pareshaan titli
tu bhi ek buue giraftaar hai, ma’aloom na tha
tere jalvon mein bahaarein nazar aayin thin mujhe
tu sitam-khurdahe adbaar hai, ma’aloom na tha

Tere naazuk se paron par ye zaro-seem kaa bojh
teri parwaaz ko aazaad na hone dega
tuune raahat ki tamannaa mein jo gham paalaa hai
vo tiri rooh ko aabaad na hone degaa

Tuune sarmaaye ki chhaon mein panapne ke liye
apne dil, apni muhabbat ka lahoo bechaa hai
din ki taz’eene fasurdaa ka asaasaa lekar
raat ki shokh masarrat ka lahoo bechaa hai

Is se kyaa faaydaa rangeen labaadon ke tale
rooh jalti rahe, galti rahe, pazmurda rahe
hont hanste hon dikhaave ke tabassum ke liye
dil ghame zeest se bojhil rahe, aazurdaa rahe

Dil ki taskeen bhi hai aasaaishe hasti ki daleel
zindagi sirf zaro-seem ka paimaanaa nahin
zeest ahsaas bhi hai, shauq bhi hai, dard bhi hai
sirf anfaas ki tarteeb ka afsaanaa nahin

Umr bhar raingte rahne se kahin behtar hai
ek lamhaa jo teri rooh mein vus’at bhar de
ek lamhaa jo tere geet ko shokhi de de
ek lamhaa jo teri lai mein masarrat bhar de

Comments