Faraar


Faraar


Apne maazi ke tassavur se hirasa houn main
Apne guzre hue ayamse nafrat hai mujhe
Apni bekar tamannaaon pe sharminda houn
Apni besood umeedon pe nadaamat hai mujhe

Mere maazi ko andhere mein dabaa rahne do
Mera maazi meri zillat ke sivaa kuchh bhi nahin
Meri umeedon kaa haasil, meri kaavish ka silaa
Ek benaam azeeyat ke sivaa kuchh bhi nahin

Kitni bekaar umeedon ka sahaaraa lekar
Maine aivaan sajaaye the kisi ki Khaatir
Kitni berabt tamannaaon ke mubham Khaake
Apne khwaabon mein basaaye the kisi ki Khaatir

Mujhse ab meri muhabbat ke fasaane na kaho
Mujhko kahne do k main ne unhein chaahaa hi nahin
Aur vo mast nigaahein jo mujhe bhool gayin
Main ne un mast nigaahon ko saraahaa hi nahin

Mujhko kahne do k main aaj bhi jee saktaa houn
Ishaq nakaam sahi, zindagi nakaam nahin
Unhein apnaane ki khwaaish, unhein paane ki talab
Shauqe bekaar sahi saie Gham anjaam nahin

Vahi gesoo, vahi nazrein, vahi aariz, vahi jism
Main jo chaahoun to mujhe aur bhi mil sakte hain
Vo kanval jinko kabhi unke liye khilna thaa
Unki nazron se bahut door bhi khil sakte hain

Comments