gurez


gurez



Mera junoone wafa hai zavaal amadah
Shikast ho gaya tera fasoone zebae
Un aarzoon pe chhai hai garde maayoosi
Jinhon ne tere tabassum mein parvarish pae

Farebe shauq ke rangeen talism tut gaye
Haqeeqaton ne havadis se phir jala paayi
Sukoon o  khwab ke parde sarakte jate hain
Damagh o dil mein hai vahshat ki karfarmai

Vo taare jin mein muhabbat ka noor taban tha
Vo taare doob gaye le ke rang o ranae
Sula gayi thin jinhein teri multafat nazrein
Wo dard jaag uthe phir se le kar angrae

Ajeeb aalame afsurdagi hai roo ba-farogh
Na ab nazar ko taqaza na dil tamannae
Tiri nazar tire gesu, tiri jabeen tire lab
Miri udaas tabee’yat hai sab se uktae

Main zindagi ke haqaiq se bhaag aaya tha
K mujh ko khud mein chhupa le tiri fusoonzae
Magar yahan bhi taqub kiya haqaiq ne
Yahan bhi mil na saki jannate shakeb ai

Har ek haath mein le kar hazaar aaeene
Hayaat band dareechon se bhi guzar aayi
Mire har ik taraf se ek shor goonjaa hai
Aur us mein doob gayi ishraton ki shahnae

Kahan talak koi zindah haqeeqaton se bache
Kahan talak kare chhup chhup ke naghma pairae
Woh dekh samne ke purshikwa aivan se
Kisi kiraye ki larki ki cheekh takrae

Woh phir samaaj ne do pyaar karne vaalon ko
Sazaa ke taur pe bakhshi taveel tanhae
Phir ek teerah o taareek jhonpari ke tale
Sisakte bachche pe bevaah ki aankh bhar ae

Woh phir biki kisi majboor ki javaan beti
Woh phir jhukaa kisi dar pe gharoore barnae
Woh phir kisanon ke majmooa pe gunmashinon se
Haqooq yafta tabqe ne aag barsae
Sakoote halqae zindan se ek gooonj uthi
Aur us ke saath mire saathiyon ki yaad aayi

Nahin nahin mujhe youn multafat nazar se na dekh
Nahin nahin mujhe ab taabe naghma pairae
Merea junoone wafa hai zavaal aamaadah
Shikast ho gaya teraa fasoone zebae

Comments