hawas naseeb nazar ko kahin Ghazal


Hawas naseeb nazar ko kahin qaraar nahin
Main muntazar houn magar tera intezaar nahin

Hamin se range gulistaan hamin se range bahaar
Hamin ko nazme gulistaan pe ikhtiyaar nahin

Abhi na chher muhabbat ke geet aie mutrib
Abhi hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahin

Tumhaare ahde vafaa ko main ahd kyaa samjhoun
Mujhe Khud apni muhabbat kaa aitbaar nahin

Na jaane kitne gile ismein muztarib hai nadeem
Vo ek dil jo kisi kaa gilaaguzaar nahin

Gurez kaa nahin qaail hayaat se lekin
Jo sach kahoun to mujhe maut naagavaar nahin

Ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne
K ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahin

Comments