Hiraas


Hiraas



Tere honthon pe tabassum ki wo halki si lakeer
Mere takheel mein rah rah ke jhalak uthti hai
Yoon achaanak tire aariz ka Khayaal aata hai
Jaise zulmat mein koi shama bharak uthti hai

Tere pairaahane rangeen ki junoonkhez mahak
Khwaab ban ban ke mire zehan mein lahraati hai
Raat ki sard Khamoshi mein har ik jhonke se
Tere anfaas, tire jism ki aanch aati hai

Main sulagate hue raazon ko ayaan to kar dun
Lekin in raazon ki tashheer se jee Dartaa hai
Raat ke Khwaab ujaale mein bayaan to kar dun
In haseen khwaabon ki tabeer se jee Dartaa hai

Tere saanson ki thakan teri nigaahon ka sukoot
Darhaqeeqat koi rangeen shararat hi na ho
Main jise pyaar ka andaaz samajh baithaa hun
Wo tabassum wo takallum teri aadat hi na ho

Sochtaa hun ki tujhe milke main jis soch mein hun
Pahle us soch ka maqsoom samajh loon to kahun
Main tire shahr mein anjaan hun pardesi hun
Tere altaaf ka mafhoom samjah loon to kahun

Kahin aisa na ho ki paanv mire thra jaayein
Aur tiri marmari bahon ka saharaa na mile
Ashk bahte rahein Khaamosh siyah raaton mein
Aur tire reshmi aanchal ka kinaraa na mile

Comments