isi doraahe par


isi doraahe par


Ab na in unche makanon mein qadam rakhounga
Main ne ik bar ye pahle bhi qasam khayi thi
Apni nadar muhabbat ki shikaston ke tufail
Zindagi pahle bhi sharmayi thi, jhunjhlayi thi

Aur ye ahd kiya tha k bainhale tabah
Ab kabhi pyar bhare geet nahin gaounga
Kisi chilman ne pukara bhi to barh jaounga
Koi darwaza khula bhi to palat jaounga

Phir tire kanpte honthon ki fusunkar hansi
Jal bun ne lagi bunti rahi bunti hi rahi
Main khincha tujhse magar tu meri rahon ke liye
Phool chunti rahi chunti rahi chunti hi rahi

Barf barsayi mire zehn o tasavvur ne magar
Dil mein ik sholae benam sa lahra hi gaya
Teri chupchap nigahon ko sulagte pakar
Meri bezar tabiyat ko bhi pyar hi a gaya

Apni badli hui nzaron ke taqaze na chhupa
Main is andaz ka mafhoom samajh sakta houn
Tere zarkar dareechon ki bulandi ki qasam
Apne aqdam ka maqsoom samajh sakta houn

Ab na in unche makanon mein qadam rakhounga
Main ne ik bar ye pahle bhi qasam khayi thi
Isi sarmaya o iflas ke dorahe par
Zindagi pahle bhi sharmayi thi jhunjhlayi thi

Comments