jaageer

jaageer


Phir usi waadie SHADAB mein laut aaya hun
Jismein pinhaan mire khwabon ki tarabgaahein hain
Mere ahbaab ke saamaane tayyush ke liye
Shaukh seene hain jawaan jism haseen baahein hain

Sabz kheton mein ye dubki hui dosheezaaein
Inki shiryaanon mein kis kis ka lahoo jaari hai
Kis mein jurrat hai ki is raaz ki tash_heer kare
Sab ke lab par miri haibat ka fusuun taari hai

Haaye wo garm o dilaavez ubalte seene
Jinse ham satwate aabaa ka silaa lete hain
Jaane in marmarin jismon ko ye mariyal dahqaan
Kaise in teerah gharondon mein janam dete hain

Ye lahakte hue paude, ye damakte hue khet
Pahle ajdaad ki jaageer thi ab mere hain
Ye charaagaah, ye rewar ye maweshi ye kisaan
Sab-ke-sab mere hain sab mere hain sab mere hain!

Inki mehnat bhi miri haasile mehnat bhi miraa
Inke baazu bhi mire quwwate baazu bhi miri
Main khadawand hun is wusate bepayaan kaa
Mauje aariz bhi miri nakhate gesu bhi miri

Main un ajdaad ka betaa hun jinhon ne paiham
Ajnabi qaum ke saaye ki himaayat ki hai
Ghadr ki saate naapaak se lekar ab tak
Har kare waqt mein sarkaar ki Khidmat ki hai

Khaak par reingne waale ye fasurdaa dhaanche
Inki nazrein kabhi talwaar bani hain na banein
Inki Ghairat pe har ik haath jhapat saktaa hai
Inke abruu ki kamaanein na tani hain na tanein

Haaye ye shaam, ye jharne, ye shafaq ki laali
Main in aasoodaa fazaaon mein zaraa jhoom na loun
Wo dabe paanv udhar kaun chali jaati hai
Barh ke us shaukh ke tarshe hue lab choom na loun!

Comments