Jab kabhi unki tavajjo mein kami paayi gayi


Jab kabhi unki tavajjo mein kami paayi gayi



Jab kabhi unki tavajjo mein kami paayi gayi
Azsare nau daastaane shauq dohraayi gayi

Bik gaye jab tere lab phir tujh ko kyaa shikvah agar
Zindgaani baadah o saaghar se bahlaai gayi

Ai Ghame duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
Kin bahaanon se tabeeyat raah par laayi gayi

Ham karein tarke vafaa, acchhaa chalo yuun hi sahi
Aur agar tarke vafaa se bhi na rusvaai gayi?

Kaise kaise chashm o aariz garde Gham se bujh gaye
Kaise kaise paikaron ki shaane zaibaayi gayi

Dil ki dharkan mein tawaazun aa chala hai, Khair ho
Meri nazrein bujhh gayin yaa teri raan’aai gayi

Un kaa Gham un ka tasavvur un ke shikve ab kahaan
Ab to ye baatein bhi aie dil ho gayin aayi gayi

Jurrate insaan pe go taadib ke pahre rahe
Fitrate insaan ko kab zanjeer pahnaai gayi

Arsae hastee mein ab tesha-zanon kaa daur hai
Rasme changezi uthi to qaide durraai gayi

Comments