kisi ko udaas dekh kar


kisi ko udaas dekh kar


tumhein udaas sa pata hoon main kaee din se

naa jaane kaun se sadame uthaa rahi ho tum

wo shoKhiyaan, wo tabassum, wo kahkahe na rahe,

har ek chiz ko hasrat se dekhati ho tum

chhupaa chhupaa ke Khamoshi mein apani bechaini,

Khud apane raaz ki taashir ban gai ho tum



meri ummid agar mit gai to mitane do,

ummid kyaa hai,bas ek paas o pesh hai,kuchh bhi nahin

meri hayaat ki ghamGinion ka Gam na karo,

Gam-e-hayaat,gham-e-yak-nafass hai,kuchh bhi nahin

tum apane husn ki raanaaion par raham karo,

vafaa fareb hai,tul-e-havas hai,kuchh bhi nahin



mujhe tumhaare tagaaful se kyoon shikayat ho,

meri fanaa meer ehasaas ka taqaazaa hai

main jaanataa hoon ke duniyaa ka khauf hai tum ko,

mujhe khabar hai ye duniyaa ajib duniyaa hai

yahaan hayaat ke parde mein maut chalati hai,

shikast-e-saaz ki aawaaz mein roohe nagmaa hai



mujhe tumhaari judaai ka koi ranj nahin,

mere khayaal ki duniyaa mein mere paas ho tum

ye tum ne thik kaha hai tumhein milaa na karoon,

magar mujhe yeh to bataa do ki kyoon udaas ho tum

khafaa na ho meri jurrat-e-takhtab par,

tumhein khabar hai meri zindagi ki aas ho tum



meraa to kuchh bhi nahin hai,main ro ke ji loongaa,

magar khudaa ke liye tum asir-e-Gam na raho

huaa hi kyaa jo zamaane ne tum ko chhin liyaa,

yahaan par kaun huaa hai kisi ka socho to

mujhe qasam hai meri dukh bhari jawaani ki,

main khush hoon,meri mohabbat ke phool thukaraa do



main apane rooh ki har ek khushi mitaa saktaa hoon,

magar tumhaari masarrat mitaa nahin sakataa

main khud ko maut ke haathon mein saunp sakataa hoon,

magar ye bar-e-masaaib uthaa nahin sakataa

tumhaare gham ke sivaa aur bhi to gham hain mujhe,

nijaat jin se main ek lahaza paa nahin sakataa



ye oonche oonche makanon ki deyodiyon ke taley,

har kaam pe bhooke bhikariyon ki sadaa

har ek ghar mein aflaas aur bhook ka shor,

har ek simt ye insaniyat ki aah o buka

ye karakhaanon mein lohe ka shor o gul jis mein,

hai dafn laakhon garibon ki rooh ka nagmaa



ye sharahon pe rangin sadion ki jhalak,

ye jhonpadiyon mein garibon ki be-kafan laashein

ye maal road pe caron ki rail pail ka shor,

ye patariyon pe garibon ke zard_roo bachhe

gali gali mein bikate hue javaan chehare,

hasin aankhon mein afsurdagi si chhai hui



ye jang aur ye mere vatan ke shokh javaan,

kharidi jaati hain uthati javaaniyaan jinaki

ye baat baat pe kanoon aur zabt ki giraft,

ye zisq ye gulaami ye daur-e-majaboori

ye Gam hain bahot meri zindagi mitaane ko,

udaas rah ke mere dil ko aur ranj na do

Comments