main ne jis waqt tujhe pahle pahal dekha thaa


main ne jis waqt tujhe pahle-pahal dekha thaa


Main ne jis waqt tujhe pahle pahal dekha tha
tu jawani ka koi khwab nazar ayi thi
husn ka naghma-e-javed hui thi maloom
ishq ka jazba-e-betab nazar ayi thi
Aie tarbazar-e-jawani ki pareshan titli
tu bhi ek buu-e-giraftar hai, maaloom na tha
tere jalvon mein baharein nazar ayin thin mujhe
tu sitam-khurdah-e-adbar hai, maaloom na tha
Tere nazuk se paron par ye zaro-seem ka bojh
teri parwaz ko azad na hone dega
tune rahat ki tamanna mein jo gham pala hai
vo tiri rooh ko abad na hone dega
Tune sarmaye ki chhaon mein panapne ke liye
apne dil, apni muhabbat ka lahoo becha hai
din ki tazen-e-fasurda ka asasa lekar
rat ki shokh masarrat ka lahoo becha hai
Is se kya fayda rangeen labadon ke tale
rooh jalti rahe, galti rahe, pazmurda rahe
hont hanste hon dikhave ke tabassum ke liye
dil gham-e-zeest se bojhil rahe, azurda rahe
Dil ki taskeen bhi hai asaish-e-hasti ki daleel
zindagi sirf zaro-seem ka paimana nahin
zeest ahsas bhi hai, shauq bhi hai, dard bhi hai
sirf anfas ki tarteeb ka afsana nahin
Umr bhar raingte rahne se kahin behtar hai
ek lamha jo teri rooh mein vusat bhar de
ek lamha jo tere geet ko shokhi de de
ek lamha jo teri lai mein masarrat bhar de

Comments