Mazoori


Khalwat o jalwat mein tum mujhse mili ho baraha
Tumne kya dekha nahin, main muskura sakta nahin
Main ki mayoosi miri fitrat mein dakhil ho chuki
Jabr bhi Khud par karoun to gunguna sakta nahin

Mujh mein kya dekha ki tum ulfat ka dam bharne lagin
Main to Khud apne bhi koi kam a sakta nahin
Rooh-afza hain juunuune ishq ke naghme magar
Ab main in gaye hue geeton ko ga sakta nahin

Main ne dekha hai shikaste saze ulfat ka saman
Ab kisi tahreek par barbat utha sakta nahin
Dil tumhari shiddate ahsas se waqif to hai
Apne ehsasat se daman chhura sakta nahin

Tum miri hokar bhi begana hi paogi mujhe
Main tumhara hoke bhi tum mein sama sakta nahin
Gaye hain main ne Khuloose dil se bhi ulfat ke geet
Ab riyakari se bhi chahoun to ga sakta nahin

Kis tarah tumko bana loun main shareeke zindagi
Main to apni zindagi ka bar utha sakta nahin
Yas ki tareekiyon mein Doob jane do mujhe
Ab main sha’mae arzoo ki lau barha sakta nahin

Comments