Muhabbat tark ki main ne


Muhabbat tark ki main ne


Muhabbat tark ki main ne garebaan si liyaa main ne
Zamaane ab to Khush ho zahar ye bhi pi liyaa main ne

Abhi zindah hun lekin sochataa rahtaa huun Khalwat mein
Ke ab tak kis tamannaa ke sahaare ji liyaa main ne

Unhein apnaa nahin saktaa magar itnaa bhi kyaa kam hai
K kuchh muddat hasin Khawaabon mein kho kar ji liyaa main n

Bas ab to daaman-e-dil chhor do bekaar ummido!
Bahut sikh sah liyaa main ne bahut din ji liyaa main ne

Comments