mujhe sochne de


mujhe sochne de


Meri nakam muhabbat ki kahani mat chher
Apni mayoos umangon ka fasana na suna
Zindagi talkh sahi, zahar sahi, sam hi sahi
Dard-o-azar sahi, jabr sahi, Gham hi sahi
Lekin is dard-o-Gham-o-jabr ki vus’at ko to dekh
Zulm ki chhanv mein dam torti Khalqat ko to dekh
Apni mayoos umangon ka fasana na suna
Meri nakam muhabbat ki kahani mat chher

Jalsa-gahon mein ye vahshat-zadah sahme anboh
Rahguzaron pe falakat zadah logon ke giroh
Bhook aur pyas se paz-murdah siyah-fam zamin
Teerah-o-tar makan, muflis-o-beemar makeen
Nau’e-insan mein ye sarmaya-o-mehnat ka tazad
Aman-o-tahzeeb ke parcham tale qaumon ka fasad
Har taraf atish-o-ahan ka ye sailab-e-azeem
Nit naye tarz pe hoti hui duniya taqseem

Lahlahate hue kheton pe javani ka saman
Aur dahqan ke chhappar mein na batti na dhuan
Ye falak-bos milein, dilkash-o-seemeen bazar
Ye Ghalazat ye jhapat te hue bhooke bazar
Door sahil pe vo shaffaf makanon ki qatar
Sarsarate hue pardon mein simat te gulzar
Dar-o-deevar pe anvar ka sailab ravan
Jaise ik shayar-e-madhosh ke khwabon ka jahan

Ye sabhi kyon hai ye kya hai, mujhe kuchh sochne de
Kaun insan ka Khuda hai, mujhe kuchh sochne de
Apni mayus umangon ka fasana na suna
Meri nakam muhabbat ki kahani mat chher

Comments