nakami


nakami


Main ne har chand gham-e-ishq ko khona chaha
Gham-e-ulfat , gham-e-duniya mein samona chaha

Wahi afsane miri samt rawan hain ab tak
Wahi shole mire seene mein nihan hain ab tak
Wahi besood Khalish hai mire seene mein hanoz
Wahi bekar tamannayein jawan hain ab tak
Wahi gesu miri raton pe hain bikhre bikhre
Wahi ankhein meri janib nigran hain ab tak
Kasrat-e-gham bhi mere gham ka mudawa na hua
Mere bechain khayalon ko sakun mil na saka
Dil ne duniya ke har ik dard ko apna to liya
Muzmahil rooh ko andaz-e-junun mil na saka

Meri takheel ka sheraza-e-barham hai wahi
Mere bujhte hue ahsas ka alam hai wahi
Wahi bejan irade wahi berang sawal
Wahi berooh kashakash, wahi bechain Khayal

Ah us kashmakash-e-subah-o-masa ka anjam
Main bhi nakam, miri sai-e-amal bhi nakam

Comments