nazar e kaalij


Aie sarzameen  e  paak ke yaaraan e  nek naam
Baa sad khaloos shaayar e  aavaara ka salaam

aie vaadi e jameel mire dil ki dharkanein
aadaab kah rahi hain tiri baargaah mein
Tu aaj bhi hai mere liye jannat e khayaal
hain tujh mein dafn meri javaani ke chaar saal

kumhlaaye hain yahaan pe miri aashiqi ke phool
in raaston mein dafn hain meri khushi ke phool
teri navaazishon ko bhulaayaa na jaayegaa
maazi ka naqsh dil se mitaayaa na jaayegaa

Teri nashaat khaiz fazaa e javaan ki khair
gul haaye rang-o-boo ke haseen kaarvaan ki khair
daur e khizaan mein bhi teri kaliyaan khili rahein
taa-hashr ye haseen fazaayein basi rahein
ham ek khaar the jo chaman se nikal gaye
nang e vatan the khud hi vatan se nikal gaye

Gaaye hain fazaa mein vafaaon ke raag bhi
naghmaat aatishein bhi bikheri hai aag bhi
sarkash bane hain geet baghaawat ke gaaye hain
barson naye nizaam ke naqshe banaaye hain
naghmaa nashaat-rooh kaa gaayaa hai baarahaa
geeton mein aansuuon ko chhupaayaa hai baarahaa
ma’asoomiyon ke jurm mein badnaam bhi hue
tere tufail morid e ilzaam bhi hue

Is sarzameen pe aaj ham ik baar hi sahi
duniyaa hamaare naam se bezaar hi sahi
lekin ham in fazaaon ke paale hue to hain
gar yaan nahin to yaan se nikaale hue to hain!

Comments