Parchhaiyaan


Javaan raat ke seene pe dudhiyaa aanchal
Machal rahaa hai kisi Khwaabe marmarin ki tarah
Haseen phool, hasin pattiyaan, hasin shaakhein
Lachak rahi hain kisi jisme naaznin ki tarah
Fazaa mein ghul se gaye hain ufaq ke narm Khatuut
Zameen haseen hai, khwaabon ki sarzameen ki tarah

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain
Kabhi gumaan ki suurat, kabhi yaqeen ki tarah
Vo per jinke tale ham panaah lete the
Khare hain aaj bhi saakit kisi ameen ki tarah

Inhin ke saaye mein phir aaj do dharakte dil
Khamosh honton se kuchh kahne-sun_ne aaye hain
Na jaane kitni kashakash se, kitni kaavish se
Ye sote jaagte lamhe churaake laaye hain

Yahi fazaa thi, yahi rut, yahi zamaanaa thaa
Yahin se hamne muhabbat ki ibtadaa ki thi
Dharakte dil se, larazti hui nigaahon se
Huzuure Ghaib mein nanhi si iltajaa ki thi

K aarzuu ke kanval khil ke phool ho jaayein
Dil-o-nazar ki duaayein qubool ho jaayein

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Tum aa rahi ho zamaane ki aankh se bach kar
Nazar jhukaaye hue, aur badan churaaye hue
Khud apne qadmon ki aahat se jhenpti, Darti
Khud apne saaye ki jumbish se Khauf khaaye hue

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Ravaan hai chhoti si kashti havaaon ke rukh par
Nadi ke saaz pe mallaah geet gaataa hai
Tumhaara jism har ik lahar ke jhakole se
Miri khuli hui baahon mein jhool jaataa hai

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Main phool taank rahaa houn tumhaare joore mein
Tumhaari aankh massarrat se jhukti jaati hai
Na jaane aaj main kyaa baat kahne vaalaa houn
Zabaan Khushk hai aavaaz rukti jaati hai

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Mire gale mein tumhaari gudaaz baahein hain
Tumhaare honton pe mere labon ke saaye hain
Mujhe yaqeen hai k ham ab kabhi na bichhreinge
Tumhein gumaan k ham mil ke bhi paraaye hain

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Mire palang pe bikhri hui kitaabon ko
Adaae ajz-o-karam se uthaa rahi ho tum
Suhaag raat ko Dholak pe gaaye jaate hain
Dabe suron mein vahi geet gaa rahi ho tum

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Vo lamhe kitne dilkash the, vo ghariyaan kitni pyaari thin
Vo sahre kitne naazuk the, vo lariyaan kitni pyaari thin
Basti ki har ik shaadaab gali khwaabon ka jazeera thi goya
Har mauje nafas, har mauje sabaa, naghmon ka zakheera thi goyaa

Naagah lahakte kheton se taapon ki sadaayein aane lagin
Baaruud ki bojhal buu lekar, pachham se havaayein aane lagin
Taameer ke roshan chehre par, takhrib kaa baadal phail gayaa
Har gaanv mein wahshat naach uthi har shahr mein jangal phail gayaa
Maghrib ke muhazzab mulkon se, kuchh Khaaki vardi-posh aaye
Ithlaate hue maghroor aaye, lahraate hue madhosh aaye
Khaamosh zameen ke seene mein, khemon ki tanaavein garne lagin
Makkhan si mulaayam raahon par, booton ki kharaashein parne lagin
Faujon ke bhayaanak band tale, charkhon ki sadaayein Doob gayin
Jeepon ki sulagti dhool tale, phoolon ki qabaayein Doob gayin

Insaan ki qeemat girne lagi, ajnaas ke bhaao charne lage
Chaupaal ki raunaq ghatne lagi, bharti ke dafaatar barne lage
Basti ke sajeele shaukh javaan, ban ban ke sipaahi jaane lage
Jis raah se kam hi laut sake, us raah pe raahi jaane lage

In jaane vaale daston mein Ghairat bhi gayi, barnaai bhi
Maaon ke javaan bete bhi gaye, bahnon ke chahete bhai bhi

Basti pe udaasi chhaane lagi , melon ki bahaarein Khatm huin
Aamon ki lachakti shaakhon se, jhoolon ki kataarein Khatm huin

Dhool urne lagi baazaaron mein, bhookh ugne lagi khaliyaanon mein
Har cheez dukaanon se uthkar, ruu-posh hui tahkhaanon mein

Bad-haal gharon ki bad-haali, barte barte janjaal bani
Mahngaai barkar kaal bani, saari basti kangaal bani

Charvaahiyaan rastaa bhool gayin, pinhariyaan panghat chhor gayin
Kitni hi kanvaari ablaayein, maan-baap ki chaukhat chhor gayin

Iflaas-zadaa dahqaanon ke, hal-bail bike, khaliyaan bike
Jeene ki tamannaa ke haathon, jeene hi ke sab saamaan bike

Kuchh bhi na rahaa jab bikne ko, jismon ki tijaarat hone lagi
Khalwat mein bhi jo mamnoo thi vo jalvat mein jasaarat hone lagi

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Tum aa rahi ho sare aam baal bikhraaye hue
Hazaar gonaa malaamat kaa baar uthaaye hue

Hawas-parast nigaahon ki cheerah-dasti se
Badan ki jhenpti uriyaaniyaan chhupaaye hue

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Main shahr jaake har ik dar ko jhaank aayaa houn
Kisi jagah meri mehnat ka mol mil na sakaa
Sitamgaron ke siyaasi qimaarkhaane mein
Alam-nasib farsaat ka mol mil na sakaa

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Tumhaare ghar mein qayaamat ka shor barpaa hai
Mahaaze jang se harkaaraa taar laayaa hai
K jiskaa zikr tumhein zindagi se pyaaraa thaa
Vo bhaai narghaae dushman mein kaam aayaa hai

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Har ek gaam pe badnaamiyon kaa jamghat hai
Har ek mor pe rusvaaiyon ke mele hain
Na dosti, na takalluf, na dilbari, na Khaloos
Kisi kaa koi nahin aaj sab akele hain

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Vo rahguzar jo mere dil ki tarah sooni hai
Na jaane tumko kahaan le ke jaane vaali hai
Tumhein Khareed rahe hain zameer ke qaatil
Ufaq pe Khoone tamannaae dil ki laali hai

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain

Sooraj ke lahoo mein lithri hui, vo shaam hai ab tak yaad mujhe
Chaahat ke sunahare khwaabon kaa anjaam hai ab tak yaad mujhe

Us shaam mujhe maaloom huaa, kheton ki tarah is duniyaa mein
Sahmi hui dosheezaaon ki muskaan bhi bechi jaati hai
Us shaam mujhe maaloom huaa, is kaargahe zardaari mein
Do bholi bhaali roohon ki pahchaan bhi bechi jaati hai

Us shaam mujhe maaloom huaa, jab baap ki kheti chhin jaaye
Mamtaa ke sunahare khwaabon ki anmol nishaani bikti hai
Us shaam mujhe maaloom huaa, jab bhaai jang mein kaam aaye
Sarmaaye ke qahvaakhaane mein, bahnon ki javaani bikti hai

Sooraj ke lahoo mein lithri hui, vo shaam hai ab tak yaad mujhe
Chaahat ke sunahare khwaabon kaa anjaam hai ab tak yaad mujhe

Tum aaj hazaaron meel yahaan se door kahin tanhaai mein
Ya bazme tarab-aaraai mein
Mere sapne bunti hogi, baithi aaghosh paraayi mein
Aur main seene mein gham le kar, din raat mashaqqat kartaa houn
Jeene ki Khaatir martaa houn
Apne fan ko rusvaa karke, aghiyaan kaa daaman bhartaa houn

Majboor huun main, majboor ho tum, majboor ye duniyaa saari hai
Tan ka dukh man par bhaari hai
Is daur mein jeene ki qeemat yaa daar-o-rasan yaa Khwaari hai

Main daar-o-rasan tak jaa na sakaa, tum jahad ki had tak aa na sakin
Chaahaa to magar apnaa na sakin
Ham-tum do aisi roohein hain, jo manzile taskin paa na sakin

Jeene ko jiye jaate hain magar, saanson mein chitaayein jalti hain
Khamosh wafaayein jalti hain
Sangeen haqaayaq-zaaron mein, khwaabon ki ridaayein jalti hain

Aur aaj in peron ke neeche, phir do saaye lahraaye hain
Phir do dil milne aaye hain
Phir maut ki aandhi uththi hai, phir jang ke baadal chhaaye hain

Main soch rahaa houn inkaa bhi, apni hi tarah anjaam na ho
Inkaa bhi junoon badnaam na ho
Inke bhi muqaddar mein likhi, ik Khoon se lithri shaam na ho!

Sooraj ke lahoo mein lithri hui, vo shaam hai ab tak yaad mujhe
Chaahat ke sunahare khwaabon kaa anjaam hai ab tak yaad mujhe

Hamaaraa pyaar havaadis ki taab la na sakaa
Magar inhein to muraadon ki raat mil jaaye
Hamein to kash-ma-kashe marge be-amaan hi mili
Inhein to jhoomti gaati hayaat mil jaaye

Bahut dinon se hai ye mashghalaa siyaasat kaa
K jab javaan hon bachche to qatl ho jaayein
Bahut dinon se hai ye Khabt hukmraanon kaa
K door door ke mulkon mein qahat bo jaaye

Bahut dinon se javaani ke khwaab veeraan hain
Bahut dinon se muhabbat panaah dhoondhati hai
Bahut dinon se sitam-deedah shaahraahon mein
Nigaare zeest ki ismat panaah dhoondhati hai

Chalo k aaj sabhi paay-maal roohon se
Kahein k apne har ik zakhm ko zabaan kar lein

Hamaaraa raaz hamaaraa nahin sabhi kaa hai
Chalo k saare zamaane ko raazdaan kar lein

Chalo k chal ke siyaasi muqaamiron se kahein
K hamko jang-o-jadal ke chalan se nafrat hai

Jise lahoo ke sivaa koi rang na raas aaye
Hamein hayaat ke us pairahan se nafrat hai

Kaho k ab koi qaatil agar idhar aayaa
To har qadam pe zameen tang hoti jaayegi

Har ek mauje havaa rukh badal ke jhaptegi
Har ek shaakh rage sang hoti jaayegi

Utho k aaj har ik jangjoo se ye kah dein
K hamko kaam ki Khaatir kalon ki haajat hai

Hamein kisi ki zameen chheen_ne kaa shauq nahin
Hamein to apni zameen par halon ki haajat hai

Kaho k ab koi taajir idhar ka rukh na kare
Ab is jaa koi kunvaari na bechi jaayegi

Ye khet jaag pare, uth khari huin faslein
Ab is jagah koi kyaari na bechi jaayegi

Ye sarzameen hai Gautam ki aur Naanak ki
Is arze paak pe wahshi na chal sakeinge kabhi
Hamaaraa khoon amaanat hai nasle nau ke liye
Hamaare khoon pe lashkar na pal sakeinge kabhi

Kaho ki aaj bhi ham sab agar Khamosh rahe
To is damakte hue khaakadaan ki Khair nahin
Junoon ki Dhaali hui atomi balaaon se
Zameen ki Khair nahin, aasmaan ki Khair nahin

Guzishtaa jang mein ghar hi jale magar is baar
Ajab nahin k ye tanhaaiyaan bhi jal jaayein
Guzishtaa jang mein paikar jale magar is baar
Ajab nahin k ye parchhaiyaan bhi jal jaayein

Tasavvuraat ki parchhaiyaan ubharti hain!

Comments