sarzameene yaas


Jeene se dil bezaar rahe
har saans ik aazaar rahe
kitni hazeen hai zindagi
andohageen hai zindagi
wo bazme ehbaabe watan
wo ham-navaayaane watan
aate hain jis dam yaad ab
karte hain dil naashaad ab
guzri hui rangeeniyaan
khoi hui dilchaspiyaan
pahron rulaati hain mujhe
aksar sataati hain mujhe
wo zamzame wo chahchahe
wo rooh-afzaa qahqahe
jab dil ko maut aayi na thi
yuun be-hisi chhai na thi
‘kaalij’ ki raangeen vaadiyaan
wo dil-nisheen aabaadiyaan
wo naazneenaane watan
zohra-jabeenaane watan
jin mein se ik rangeen qabaa
aatish nafas, aatish navaa
kar ke muhabbat aashnaa
range aqeedat aashnaa
mere dile naakaam ko
khoon gashtae aalaam ko
daaghe judaai de gayi
saari khudaai le gayi
un sa’aton ki yaad mein
un raahaton ki yaad mein
maghmoom sa rahtaa houn main
gham ki kasak sahtaa houn main
suntaa houn jab ehbaab se
qisse ghame ayyaam ke
betaab ho jaataa houn main
aahon mein kho jaataa houn main
phir wo azeez-o-aqrabaa
jo tor kar ahde vafaa
ehbaab se munh mor kar
duniyaa se rishtaa tor kar
hadde ufaq se us taraf
range shafaq ke is taraf
ik vaadie khaamosh ki
ik aalame behosh ki
gahraayion mein so gaye
taareekiyon mein kho gaye
unkaa tasavvur naagahaan
letaa hai dil mein chutkiyaan
aur khoon rulaataa hai mujhe
be-kal banaataa hai mujhe
wo gaaon ki hamjoliyaan
maflook dahqaan zaadiyaan
jo vaste farte yaas se
aur yorishe aflaas se
ismat lutaa kar rah gayin
khud ko ganvaa kar rah gayin
ghamgeen javaani ban gayin
rusvaa kahaani ban gayin
un se kabhi galiyon mein ab
hotaa houn main do-chaar jab
nazrein jhukaa letaa houn main
khud ko chhupaa leta houn main
kitni hazeen hai zindagi
andohageen hai zindagi

Comments