Shikast


Apne Sine Se Lagaaye Hue Ummid Ki Laash
Muddaton Zist Ko Nashad Kiya Hai Main Ne
Tu Ne To Ek Hi Sadme Se Kiya Tha Do-Chaar
Dil Ko Har Tarah Se Barbad Kiya Hai Main Ne
Jab Bhi Rahon Mein Nazar Aaye Hariri Malboos
Sard Aahon Mein Tujhe Yaad Kiya Hai Main Ne
Aur Ab Jab Ke Miri Rooh Ki Pahnai Mein
Ek Sunsaan Si Maghmoom Ghata Chhai Hai
Tu Damakte Hue ‘Ariz Ki Sh’ua’ein Le Kar
Gulshudah Shama’ein Jalane Ko Chali Aai Hai
Meri Mehboob, Ye Hangama-E-Tajdid-E-Vafa
Meri Afsurdah Javani Ke Liye Ras Nahin
Main Ne Jo Phool Chune The Tire Qadmon Ke Liye
Un Ka Dhundhla Sa Tasavvur Bhi Mire Paas Nahin
Ek Yakhbasta Udasi Hai Dil-O-Jaan Pe Muhit
Ab Miri Rooh Mein Baqi Hai Na Ummid Na Josh
Rah Gaya Dab Ke Giranbaar Salasil Ke Tale
Meri Darmanda Javani Ki Umangon Ka Kharosh
Regzaron Mein Baguulon Ke Siva Kuchh Bhi Nahin
Saya-E-Abr-E-Gurezan Se Mujhe Kya Lena
Bujh Chuke Hain Mire Sine Mein Muhabbat Ke Kanval
Ab Tire Husn-E-Pasheman Se Mujhe Kya Lena
Tire ‘Aariz Pe Ye Dhalke Hue Simin Aansoo
Meri Afsurdagi-E-Gham Ka Mudava To Nahin
Teri Mahjuub Nigahon Ka Payaam-E-Tajdid
Ik Talaafi Hi Sahi  Meri Tamannaa To Nahin!

Comments