Subah-E-Nau-Roz


 Phoot Pareen Mashriq Se Kirnein
Haal Banaa Maazi Ka Fasaanaa
Goonjaa Mustaqbil Ka Taraanaa
Bheje Hain Ahbaab Ne Tuhfe
Ate Pare Hain Mez Ke Kone
Dulhan Bani Hui Hain Raahein
Jashn Manaao Saal-E-Nau Ke

Nikli Hai Bangle Ke Dar Se
Ik Muflis Dahqaan Ki Beti
Afsurdah Murjhaai Hui Hai
Jism Ke Dukhte Jor Dabaati
Aanchal Se Seene Ko Chhupaati
Mutthi Mein Ik Not Dabaaye
Jashn Manaao Saal-E-Nau Ke

Bhooke Zard Gadaagar Bachche
Kaar Ke Peechhe Bhaag Rahe Hain
Waqt Se Pahle Jaag Uthe Hain
Peep Bhari Aankhein Sahlaate
Sar Ke Phoron Ko Khujlaate
Vo Dekho Kuchh Aur Bhi Nikle
Jashn Manaao Saal-E-Nau Ke

Comments