Meri Zindagi Meri Jaan E Jaan

'Meri Zindagi Meri Jaan-E-Jaan,
Mujhe Le Chalo Kabhi Us Jahan,

Jahan Tu He Mera Naseeb Ho,
Jahan Dil Se Tu He Kareeb Ho,

Jahan Gham Koi Na Aa Sake,
Jahan Nafraten Na Sataa Saken,

Jahan Qarb Ho Jahan Ho Khushi,
Jahan Chahti Ho Hamen Zindagi,

Jahan Dil Mera Na Udaas Ho,
Jahan Her Ghari Teri Aas Ho,


Meri Zindagi Meri Jaan-E-Jaan,
Mujhe Le Chalo Kabhi Us Jahan.

Comments