Apnay Hothon Par Sajaana Chahta Hoon


Apnay Hothon Par Sajaana Chahta Hoon
Aa Tujhay Main Gungunana Chahta Hoon !

Koi Aansoo Tery Daaman Par Gira Gar
Boond Ko Moti Banana Chahta Hoon !

Thak Gaya Main Kartay Kartay Yaad Tujko
Ab Tujhay Main Yaad Aana Chahta Hoon !

Cha Raha Hai Saari Basti Mein Andhera
Roshni Ko Ghar Jalana Chahta Hoon !

Aakhri Hichki Teray Zaano Pay Aayey
Maut Bhi Main Shayraana Chahta Hoon !

Apnay Hothon Par Sajaana Chahta Hoon
Aa Tujhay Main Gungunana Chahta Hoon

Comments