Dareeche Se Jhankti Wo Ladki


Dareeche Se Jhankti Wo Ladki
Ajeeb Dukh Se Bhari Huyi Hai

Ki Uske Aangan Me Phool Par
Ek Neeli Titli Mari Huyi Hai

Kabhi Azaanon Me Khoyi Khoyi Si
Kabhi Namaazon Me Royi-Royi Si

Wo Aise Duniya Ko Dekhti Hai
Ki Jaise Us_Se Dari Huyi Hai

Darod Se Mehki Mehki Saansen
Wazzefe Padhti Hui Wo Aankhen

Ki Ek Sham_E_Ummid Unme
Kayi Baras Se Padi Huyi Hai

Wo Dukh Ke Chadar Me Lipti Lipti
Wo Kale Kapron Me Simti Simti

Mohabbat Usne Kisi Se Shayad
Meri Tarha Se Ki Huyi Hai

Comments