Kehna ek deewana teri yaad mein aahen bharta hai
Likh kar tera naam zameen par us ko sajde karta hai
Chaak girebaan, khaak basar phirta hai sooni raahon mein
Saayon ko liptatha hai aur laila laila karta hai
Teri ek jhalak ki khatir jaan aankhon mein atki hai
Ji ka aaisa haal hua hai jeeta hai na marta hai
Khud ko bhool gaya hai lekin teri yaad nahin bhoola,
Dil ke jitne zakhm hai un mein, tera hi aks ubharta hai
Likh kar tera naam zameen par, us ko sajde karta hai.
Saayon ko liptatha hai aur laila laila karta hai,
Kehna mere deewane se kehna mere deewane se laila teri amaanat hai
Teri baahon mein dam degi tu jis ka dam bharta hai
Dil ke jitne zakhm hai un mein tera hi aks ubharta hai
Sadqe jaon eis qasid par jis se yeh paighaam mila
Mera qatil mera masiha ab bhi mujh par marta hai!
can anyone tell who sang the last alap 'Laila......" of this song. Rafi or somebodyelse?
ReplyDelete