Aao k koi Khwaab bunen |
Aao k koi Khwaab bunen kal ke vaste
Varna ye raat aaj ke sangeen daur ki
Das legi jaan o dil ko kuchh aise ke jaan o dil
Taumr phir na koi haseen Khwaab bun saken
Go hamse bhagti rahi ye tezgaam umr
Khwaabon ke aasre pe kati hai tamaam umr
Zulfon ke Khwaab honton ke Khwaab aur badan ke Khwaab
Mairaaje fan ke Khwaab kamalae sukhan ke Khwaab
Tahzeebe zindagii ke faroghe watan ke Khwaab
Zindaa ke Khwaab koochae daar o rasan ke Khwaab
Ye Khwaab hi to apni jawaani ke paas the
Ye Khwaab hi to apne amal ki asaas the
Ye Khwaab mar gaye hain to berang hai hayaat
Yun hai ki jaise daste tahesang hai hayaat
Aao k koi Khwaab bunen kal ke vaste
Varna ye raat aaj ke sangeen daur ki
Das legi jaan o dil ko kuchh aise ke jaan o dil
Taumr phir na koi haseen Khwaab bun saken
Comments
Post a Comment
thanks