Khana Aabadi

Khana Aabadi


Taraane goonj uththe hain fazaa mein shadiyanon ke
Havaa hai itraagi, zarra zarra muskurata hai

Magar door ek afsurdaa makaan mein sard bistar par
Koi dil hai k har aahat pe yun hi chaunk jata hai
Meri aankhon mein aansoo aa gaye, naadidah aankhon ke
Mere dil mein koi ghamgin naghmaa sarsaraata hai

Ye rasme inqatae ahde ulfat, ye hayaate nau
Muhabbat ro rahi hai, aur tamaddun muskurata hai
Ye shaadi Khaanaa-aabaadi ho, mere mohtarim bhai
Mubaarak kah nahin sakta, miraa dil kaanp jata hai

Comments