Khudkushi se pahle |
Uff ye bedard siyaahi, ye hawa ke jhonke
Kis ko maloom hai is shab ki sahar ho k na ho
Ik nazar tere dareeche ki taraf dekh to loun
Doobati aankhon mein phir taabe nazar ho k na ho
Abhi roshan hain tire garm shabistaan ke diye
Neelagoon pardon se chhanti hain shuaaein ab tak
Ajnabi baahon ke halqe mein lachakti hongi
Tire mahke hue baalon ki ruaayein ab tak
Sard hoti hui batti ke dhuein ke hamraah
Haath phaailaaye barhe aate hain bojhal saaye
Kaun ponchhe miri aankhon ke sulagte aansoo
Kaun uljhe hue baalon ki girah suljhaaye
Aah ye Ghaar halaakat, ye diye ka mahbas
Umr apni inhin taareek makaanon mein kati
Zindagi fitrate behis ki puraani taqseer
Ik haqeeqat thi magar chand fasaanon si kati
Kitni aasaaishein hansti rahin aivaanon mein
Kitne dar meri javaani pe sadaa band rahe
Kitne haathon ne bunaa atlas o kamkhwaab magar
Mere malboos ki taqdeer mein paiwand rahe
Zulm sahte hue insaanon ke is maqtal mein
Koi fardaa k tasavvur se kahaan tak bahle
Umr bhar raingte rahne ki sazaa hai jeenaa
Ek do din ki azeeyat ho to koi sah le
Vahi zulmat hai fazaaon pe abhi tak taari
Jaane kab Khatm ho insaan ke lahoo ki taqteer
Jaane kab bikhre siya-posh fazaa kaa joban
Jaane kab jaage sitam Khurdah bashr ki taqdeer
Abhi roshan hain tere garm shabistaan ke diye
Aaj main maut ke ghaaron mein utar jaaoungaa
Aur dam torti batti ke dhuein ke hamraah
Sarhade marge musalsal se guzar jaaoungaa
Comments
Post a Comment
thanks