mataa-e-Ghair |
Mere khwabon ke jharokhon ko sajane wali
Tere khwabon mein kahin mera guzar hai ke nahin
Poochkar apni nigahon se bata de mujhko
Meri raton ke muqaddar mein sehar hai ke nahin
Char din ki ye rafaaqat jo rafaaqat bhi nahin
Umr bhar ke liye azaar hui jaati hai
Zindagi yun to hamesha se pareshan si thi
Ab to har sans giraanbaar hui jaati hai
Meri ujadi hui neendon ke shabistanon mein
Tu kisi khwaab ke paikar ki tarah ai hai
Kabhi apni si, kabhi ghair nazar ai hai
Kabhi ikhlaas ki moorat, kabhi harjai hai
Pyar par bas to nahin hai mera, lekin phir bhi
Tu bata de ke tujhe pyar karoon ya na karoon
Tu ne khud apne tabassum se jagaya hai jinhen
Un tammannaon kaa izhaar karoon ya na karoon
TU kisi aur ke daman ki kali hai lekin
Meri raatein teri khushboo se basi rehti hain
Tu kahin bhi ho tere phool se aariz ki kasam
Teri palkein meri aankhon pe jhuki rehti hain
Tere haathon ki haraarat, tere saanson ki mehak
Sar'sarati rehti hai mere zahen ki pahnai mein
Dhoondhti rehti hain takhayeel ki bahein tujhko
Sard raaton ki sulagti hui tanhai mein
Tera altaaf-o-karam ek haqeeqat hai magar
Ye haqeeqat bhi haqeeqat mein fasana hi na ho
Teri maanoos nigahoun ka ye mohtaat payaam
Dil ke khoon karne ka ek aur bahana hi na ho
Kaun jane mere imroz ka farda kya hai
Qurbatein badhke pashemaan bhi ho jati hain
Dil ke daman se lipati hui rangeen nazrein
Dekhte dekhte, anjaan bhi ho jaati hain
Meri darmaanda jawani ki tamannaon ke
Muzmahil khwaab ki taabeer bata de mujhko
Tere daaman mein gulistaan bhi hain, veraane bhi
Mera haasil, meri taqdeer bata de mujhko
Mere khwabon ke jharokhon ko sajane wali
Tere khwabon mein kahin mera guzar hai ke nahin
Poochkar apni nigahon se bata de mujhko
Meri raton ke muqaddar mein sehar hai ke nahin
Comments
Post a Comment
thanks