Pahlooe shaah mein ye dukhtare jumhoor ki qabr
Kitne gumgashta fasaanon ka pataa detii hai
Kitne khuunrez haqaaiq se uthaati hai naqaab
Kitni kuchli hui jaanon ka pataa deti hai
Kaise maghroor shahanshaahon ki taskiin ke liye
Saal-ha-saal haseenaaon ke baazaar lage
Kaise bahkii hui nazron ke ta’ayyush ke liye
Surkh mahlon mein jawaan jismon ke ambaar lage
Kaise har shaakh se munh-band mahakti kaliyaan
Noch lii jaatii thiin taz’iine haram kii Khaatir
Aur murjha ke bhi aazaad na ho saktii thiin
Zille subhaan kii ulfat ke bharam kii Khaatir
Kaise ik fard ke honton ki zaraa sii jumbish
Sard kar saktii thii be-laus wafaaon ke chiraagh
Loot saktii thii damakte hue haathon ka suhaag
Tor saktii thii maie ishq se labrez ayaagh
Sahmi-sahmi si fazaaon mein ye veeraan marqad
Itna Khaamosh hai, faryaad-kunaan ho jaise
Sard shaakhon mein havaa cheekh rahii hai aise
Roohe taqdees-o-wafaa marsiyaa khwaan ho jaise
Tu meri jaan! Mujhe hairat-o-hasrat se na dekh
Ham mein koi bhi jahaannoor-o-jahaangeer nahiin
Tu mujhe chhor ke Thukraa ke bhi jaa sakti hai
Tere haathon mein mire haath hain, zanjeer nahiin
Comments
Post a Comment
thanks