Pahlooe shaah mein ye dukhtare jamhoor ki qabr
Kitne gumgashta fasaanon ka pataa deti hai
Kitne khuunrez haqaayaq se uthaati hai naqaab
Kitni kuchli hui jaanon ka pataa deti hai
Kaise maghroor shahanshaahon ki taskin ke liye
Saal-ha-saal haseenaaon ke baazaar lage
Kaise bahki hui nazron ke ta’ayyush ke liye
Surkh mahlon mein jawaan jismon ke ambaar lage
Kaise har shaakh se munh-band mahakti kaliyaan
Noch li jaati thin taz’ine haram ki Khaatir
Aur murjha ke bhi aazaad na ho sakti thin
Zille subhaan ki ulfat ke bharam ki Khaatir
Kaise ik fard ke honton ki zaraa si jumbish
Sard kar sakti thi belaus wafaaon ke chiraagh
Loot sakti thi damakte hue haathon ka suhaag
Tor sakti thi maie ishq se labrez ayaagh sahmi-sahmi si fazaaon mein ye veeraan marqad
Itna Khaamosh hai, fariyaad-kunaan ho jaise
Sard shaakhon mein havaa cheekh rahi hai aise
Roohe taqdees-o-wafaa marsiyaakhwaan ho jaise
Tu meri jaan! Mujhe hairat-o-hasrat se na dekh
Ham mein koi bhi jahaannoor-o-jahaangeer nahin
Tu mujhe chhor ke Thukraa ke bhi jaa sakti hai
Tere haathon mein mire haath hain, zanjeer nahin
Comments
Post a Comment
thanks