Ik Chand Tanha Khara Raha
Mery Asma Say Zara Pary
Mery Sath Sath Safar Main Tha
Meri Manzilon Say Zara Pary
Tiri Justaju K Hisar Say
Tery Khwab Tery Khyal Say
Main Wo Shakhs Tha Jo Khra Raha
Teri Chahton Say Zara Pary
Kabi Dil Ki Bat Kahi Na Thi
Jo Kahi Wo B Dabi Dabi
Mery Lafz Poray To Thay Mager
Teri Samaaton Say Zara Pary
Tu Chala Gya Mery Humsafr
Zra Dekh Mur K To Ik Nazr
Meri Kashtian Hain Jali Hoi
Tery Sahlion Say Zara Pary
Haf E Ranjish Pe Koi Bat B Ho Sakti Hai
Ain Mumkin Hai Mulaqat B Ho Sakti Hai
Zindagi Phool Hai Khushbu Hai Magr Yaad Rahy
Zindagi Gardsh E Halat B Ho Sakti Hai
Hum Ne Ye Soch K Rakha Tha Qadam Gulshan Main
Lala O Gul Main Tiri Zat B Ho Sakti Hai
Chal Chlty Huway Shtranj Ki Baazi K Usool
Bhool Jaogy To Phir Maat B Ho Sakti Hai
Aik To Chat K Bina Ghar Hy Humara Mohsin
Us Pe Ye Khoaf K Barsaat B Ho Sakti Hai
Mery Zarf Ka Ye Qasoor Tha
K Main Darday Dil Na Chupa Saka
Mere Zarf Ne B Dagha Dia
Main To Zarf B Na Bacha Saka
Mera Nafs Sik Alaao Tha
Meri Rooh Tak To Nighl Gya
K Main Khwahishon K Alaao Ko
Na Jila Ska Na Bujha Ska
Jo Di Ik Dost Ne Aziatain
Theen Wo Dushmanu K Inayatain
Main Tamaam Umar Darta Raha
Koi Dost Phir Na Bana Saka
Mujy Mufsli Ny Thaka Dia
Mere Walwlon Ko Sula Dia
Mujy Log Ye Keh K Juda Howy
Ye
Dosti Na Nibha Saka
Comments
Post a Comment
thanks