Teri aawaaz



Rat Sunsan Thi, Bojhal Thin Faza Ki Sansein
Rooh Par Chhaye The Benam Ghamon Ke Saye
Dil Ko Ye Zid Thi K Tu Aye Tassalli Dene
Meri Koshish Thi K Kambakht Ko Neend A Jaye

Der Tak Ankhon Mein Chubhti Rahi Taron Ki Chamak
Der Tak Zahn Sulagta Raha Tanhai Mein
Apne Thukraye Hue Dost Ki Pursish Ke Liye
Tu Na Ayi Magar Is Rat Ki Pahnai Mein

Yun Achanak Tiri Avaz Kahin Se Ayi
Jaise Parbat Ka Jigar Cheer Ke Jharna Phoote
Ya Zameenon Ki Muhabbat Mein Tarap Kar Nagah
Asmanon Se Koi Shaukh Sitara Toote

Shahd Sa Ghul Gaya Talkhaba-E-Tanhai Mein
Rang Sa Phail Gaya Dil Ke Siyah Khane Mein
Der Tak Yun Tiri Mastana Sadayein Goonjein
Jis Tarah Phool Chatakne Lagein Veerane Mein

Tu Bahut Door Kisi Anjuman-E-Naz Mein Thi
Phir Bhi Mahsoos Kiya Main Ne K Tu Ayi Hai
Aur Naghmon Mein Chhupa Kar Mire Khoye Hue Khwab
Meri Roothi Hui Neendon Ko Mana Layi Hai

Rat Ki Sath Par Ubhre Tire Chahre Ke Naqoosh
Vahi Chup Chap Si Ankhein Vahi Sada Si Nazar
Vahi Dhalka Hua Anchal Vahi Raftar Ka Kham
Vahi Rah Rah Ke Lachakta Hua Nazuk Paikar

Tu Mire Pas Na Thi Phir Bhi Sahar Hone Tak
Tera Har Sans Mire Jism  Ko Chhooo Kar Guzra
Qatra Qatra Tire Deedar Ki Shabnam Tapki
Lamha Lamha Tiri Khusbu Se Muattar Guzra

Ab Yahi Hai Tujhe Manzoor To Ai Jan-E-Qarar
Main Tiri Rah Na Dekhounga Siyah Raton Mein
Dhoond Leingi Miri Tarsi Hui Nazrein Tujh Ko
Naghma-O-Sh’er Ki Umri Hui Barsaton Mein

Ab Tira Pyar Satayega To Meri Hasti
Tiri Masti Bhari Avaz Mein Dhal Jayegi
Aur Ye Rooh Jo Tere Liye Bechain Si Hai
Geet Ban Kar Tire Honton Pe Machal Jayegi

Tire Naghmat Tire Husn Ki Thandak Lekar
Mere Tapte Hue Mahaul Mein A Jayeinge
Chand Ghariyon Ke Liye Hon K Hamesha Ke Liye
Meri Jagi Hui Raton Ko Sula Jayeinge

Comments