Khwabon Ko Asliat Mein


Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hai
Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hai
Zakhm-E-Dil-O-Tanhai Aazamana Abhi Baqi Hai
Parda To Abhi Utha Hi Nahi Barkhudar,
Aasman Se Bijli To, Abhi Girna Baqi Hai
Nazaron Se Sawalon Ki Bauchar Abhi Baqi Hai
Jawab Dene Ki Mahirat Ki Imtihan Abhi Baqi Hai
Jhuken Chahey Unki Ya Tumhari Nazar,
Ek Ranjish Bhari Kayaamat Aani Abhi Baqi Hai
Anaginat Masti Ke Jalwe Abhi Baqi Hai
Husn-Parasti Ka Sabaq Seekhna Abhi Baqi Hai
Ginana To Hai Har Haal Mein – Kitne,
Bit Gaye Din Kitne Guzaarnaa Baqi Hai
Kya Naseehat Dun Mere Dost, Kuch Bhi Nahin Baqi Hai
Phir Na Kehna Duniyadari Ab Kya Dekhna Baqi Hai
Armaan Ashkon Mein Ghul Gaye, Dil Bikhar Kar Chur ‘Satish’
Murda To Hum Kabke Bane, Faatiyaa Padhnaa Baqi Hai

Comments