Zakhm-E-Dil-O-Tanhai
Aazamana Abhi Baqi Hai
Parda To Abhi Utha Hi
Nahi Barkhudar,
Aasman Se Bijli To,
Abhi Girna Baqi Hai
Nazaron Se Sawalon Ki
Bauchar Abhi Baqi Hai
Jawab Dene Ki Mahirat
Ki Imtihan Abhi Baqi Hai
Jhuken Chahey Unki Ya
Tumhari Nazar,
Ek Ranjish Bhari
Kayaamat Aani Abhi Baqi Hai
Anaginat Masti Ke
Jalwe Abhi Baqi Hai
Husn-Parasti Ka Sabaq
Seekhna Abhi Baqi Hai
Ginana To Hai Har
Haal Mein – Kitne,
Bit Gaye Din Kitne
Guzaarnaa Baqi Hai
Kya Naseehat Dun Mere
Dost, Kuch Bhi Nahin Baqi Hai
Phir Na Kehna
Duniyadari Ab Kya Dekhna Baqi Hai
Armaan Ashkon Mein
Ghul Gaye, Dil Bikhar Kar Chur ‘Satish’
Murda
To Hum Kabke Bane, Faatiyaa Padhnaa Baqi Hai
Comments
Post a Comment
thanks