Aankh Barsi Hai Tere
Naam Pe Sawan Ki Tara
Aankh Barsi Hai Tere
Naam Pe Sawan Ki Tara
Jism Sulga Hai Teri
Yaad Main Endhan Ki Tara
Loriyan De Hain Kisi
Qurb Ki Khawahish Ne Mujhye
Kuch Jawani K Din Bhi
Guzre Hain Bachpan Ki Tara
Is Bulandi Se Mujhye
Tue Ne Nawaza Kyun Tha
Gir K Main Tout Gaya
Kanch K Bartan Ki Tara
Muj Se Milte Huwe Yeh
Baat To Sochi Hoti
Main Tere Dil Main
Sama Jaoun Ga Dharkan Ki Tara
Muntazir Hai Kisi
Makhsos Si Ahat K Liye
Zindagi Bathi Hai
Dahleez Pe Berhen Ki Tara
Chaha Jana Tu Faqat
Ik Adat Hai
Chaha Jana Tu Faqat
Ik Adat Hai
Jab Buhat Hadd Se
Barh Jaye Muhabbat Tau
Hasil Sirf
Mehroomiyan Aati Hain
Faqat Itni Si Hoti
Hai Muhabbat
Koi Iqrar-E-Wafa
Karta Hai
Dil Yaad Usi Ko Karta
Hai
Lamha Lamha
Beqarariyan Barhti Hain
Wisl Ke Lamhe Waa
Hote Hain
Aur Phir Ik Taraf
Berukhi Ka Saman Hota Hai
Dil Toot-Ta Hai
Ankhon Se Ashk Rawan Hote Hain
Faqat Itni Si Hoti
Hai Muhabbat
Kab Koi Umer Bhar
Chahta Hai Kisi Ko
Har Ik Lamhe Mein
Hasil Ruswayian Ati Hain
Mehboob Ko Faqat
Hasil Tanhayian Ati Hain
Phir Yeh Baat Samjh
Mein Ati Hai
Faqat Itni Si Hoti
Hai Muhabbat
Woh Jiske Liye Hum
Raton Ki Neendein Ganwa Dete Hain
Woh Jise Hum Khud Se
Barh Ker Chahte Hain
Woh Woh Ik Lamhe Mein
Aise Ajnabi Banta Hai
Dekh Kar Khud Ko Bhi
Yeh Guman Hota Hai
Kahin Yeh Waqai
Ajnabi Tau Nahi
Phir Kahin Jaker Yeh
Baat Samjh Mein Ati Hai
Faqat
Itni Si Hoti Hai Muhabbat
Comments
Post a Comment
thanks