Tujhe
Izhar-E-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee
Tujhe
Izhar-E-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee
Tu Nay Honton Ko
Laraznay Say To Roka Hota
Bay Niazi Say Magar
Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera
Naam Nah Poocha Hota
Terey Buss Main Thee
Agar Mashal-E-Jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main
Gulzaar Nah Bharka Hota
Youn To Hwin Mujh Say
Buss Aa-O-Hawa Ki Batein
Apnay Tootey Huey
Fiqron Ko To Parkha Hota
Youn He Bay Wajah He
Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-E-Rukhsat Agar
Kuch Yaad Nah Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana Jo
Tera Andaz-E-Jurm
Dil Nah Sumbhla Tha
To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay Badley Meri
Tasveer Nazar Aa Jati
Tu Nay Us Waqt Agar
Ayena Dekha Hota
Hosla Tujh Main Nah
Tha Mujh Say Juda Honay Ka
Warna[Black] Kaajal
Teri Aankhon Main Nah Phela Hota
Comments
Post a Comment
thanks